bas ek dhoka rah jata hai banda tanha rah jata hai dekhe dekhe manzar mein bhi kuchh an-dekha rah jata hai nind mukammal karte karte khwab adhura rah jata hai sham dhale us ped pe tanha ek parinda rah jata hai ped agar kat bhi jae to ped ka saya rah jata hai ek lamhe ki tah mein rakkha ek zamana rah jata hai tum to kya kya ganwa dete ho hum se kya kya rah jata hai hijrat karne walon dekho pichhe malba rah jata hai log to par utar jate hain dariya dekhta rah jata hai baadal dekh ke chal dete hain sahra pyasa rah jata hai aakhiri bas ka ek musafir shab-bhar baitha rah jata hai kab padta hai us ka panw rasta dekhta rah jata hai baat kuchh aur nikal aati hai sab kuchh socha rah jata hai 'jaanan' ek taswir na ho to kamra suna rah jata hai