lafz khushbu mein dhaalta manzar lijiye sher ban gaya manzar kaisa sundar tha ek zamane mein teri aankhon mein dubta manzar rang mausam se ud gae sare canwas par pada raha manzar aap ka jism bhi hai mitti ka ek nazuk sa bhurbhura manzar mujh ko hairat se mar dalega aaine mein saja hua manzar aah kamre mein jagte rahna aah khidki mein so gaya manzar us ne daman jhatak liya tauba mere hathon se gir gaya manzar tum yahan the to tha yahin par wo phir darakhton mein ja chhupa manzar koi aawaz phir se gunji hai ho gaya phir hara-bhara manzar kis ki aahat hai suni galiyon mein kis ka khulta hai raat ka manzar koi muflis ki punji ho jaise jodti hun zara zara manzar