idhar dekhte hain udhar dekhte hain hamesha teri rahguzar dekhte hain safar hi nahin khatm hota hamara musibat main hum apna ghar dekhte hain agarche hamara natija na nikla magar fail hone ka dar dekhte hain barasta raha raat bhar ghar mein pani khuda teri rahmat ka dar dekhte hain hansi mujh ko aati hai teri hansi par ukhuwwat ko zer-o-zabar dekhte hain tumhaari mohabbat jo hasil hui hai duaon ka is mein asar dekhte hain samundar ki lahren sunati hain 'ahmad' tah-e-ab lal-o-guhar dekhte hain