bas ek nigah-e-karam hai kafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai zahe tamanna ki meri fitrat asir-e-hirs-o-hawas nahin hai nazar se sayyaad dur ho ja yahan tera mujh pe bas nahin hai chaman ko barbaad karne wale ye aashiyan hai qafas nahin hai kisi ke jalwe tadap rahe hain hudud-e-hosh-o-khirad se aage hudud-e-hosh-o-khirad se aage nigah ki dastaras nahin hai jahan ki nairangiyon se yaksar badal gai aashiyan ki surat qafas samajhti hain jin ko nazren wo dar-haqiqat qafas nahin hai kahan ke nale kahan ki aahen jami hain un ki taraf nigahen kuchh is qadar mahw-e-yaad hun main ki fursat-e-yak-nafas nahin hai qusur hai ishrat-e-guzishta ka husn-e-tasir allah allah wahi fazaen wahi hawaen chaman se kuchh kam qafas nahin hai kisi ki be-e'tinaiyon ne badal hi dala nizam-e-gulshan jo baat pahle bahaar mein thi wo baat ab ke baras nahin hai ye bu-e-sumbul ye khanda-e-gul aur aah ye dukh bhari sadaen qafas ke andar chaman hai shayad chaman ke andar qafas nahin hai na hosh-e-khalwat na fikr-e-mahfil ayan ho ab kis pe haalat-e-dil main aap hi apna ham-nafas hun mera koi ham-nafas nahin hai karen bhi kya shikwa-e-zamana kahen bhi kya dard ka fasana jahan mein hain lakh dushman-e-jaan koi masiha-nafas nahin hai suni hain ahl-e-junun ne aksar khamoshi-e-marg ki sadaen suna ye tha karwan-e-hasti rahin-e-bang-e-jaras nahin hai chaman ki aazadiyan moakhkhar tasawwur-e-ashiyan muqaddam gham-e-asiri hai na-mukammal agar gham-e-khar-o-khas nahin hai na kar mujhe sharmsar naseh main dil se majbur hun ki jis ka hai yun to kaun-o-makan pe qabu magar mohabbat pe bas nahin hai kahan wo ummid-e-amad-amad kahan ye ifa-e-ahd-e-farda jab e'tibar-e-nazar na tha kuchh ab e'tibar-e-nafas nahin hai wahi hain naghme wahi hain nale sun ai mujhe bhul jaane wale teri samaat se dur hain ye jabhi to nalon mein ras nahin hai 'shakil' duniya mein jis ko dekha kuchh us ki duniya hi aur dekhi hazar naqqad-e-zindagi hain magar koi nukta-ras nahin hai