begana ho ke bazm-e-jahan dekhta hun main duniya ke rang-o-bu ka saman dekhta hun mein raushan-zamir jaise koi sarf-e-did hoe yun jalwa-ha-e-kaun-o-makan dekhta hun mein arzan hai zulm-o-jaur ki uftadgi magar jins-o-wafa-o-mehr-e-garan dekhta hun main ek samt jashn-e-shadi-o-hangama-e-nishat ek samt hashr aah-o-fughan dekhta hun main sharh-e-alam daraaz hai al-qissa ai 'shakil' ek dagh apne dil mein nihan dekhta hun main