bas ek raat mere ghar mein chand utra tha phir is ke baad wahi main wahi andhera tha saba ka narm sa jhonka tha ya bagula tha wo kya tha jis ne mujhe muddaton rulaya tha ajab uthan liye tha wo ghairat-e-shamshad tabah-haal dilon ka kahan thikana tha andheri sham thi baadal baras na pae the wo mere pas na tha aur main khul ke roya tha zamin mein dafn mujhe kar gaya hai jite-ji to kya main us ke liye qimti khazina tha jhulas jhulas ke main anjam-kar dub gaya wo tha sarab magar paniyon sa gahra tha nishan kahin bhi na the us ki ungliyon ke magar main ghar ki dekh ke ek ek chiz roya tha jale to sath jalengi ye jhadiyan 'izhaar' kisi ke shahr mein to dard yun na batta tha