tarik ujalon mein be-khwab nahin rahna us zist ke dariya ko payab nahin rahna sarsabz jaziron ki ubhregi shabahat bhi us zist samundar ko be-ab nahin rahna is hijr-e-musalsal ki aadat bhi kabhi hogi honton pe sada gham ka zahrab nahin rahna chhan chhan ke bahega din baadal ki ridaon se suraj ki shuaon ko nayab nahin rahna us raat ke mathe par ubhrenge sitare bhi ye khauf andheron ka shadab nahin rahna