bas ek shua-e-nur se saya simat gaya wo pas aa raha tha ki main dur hat gaya phir darmiyan-e-aql-o-junun jang chhid gai phir majma-e-khawaas girohon mein bat gaya kya ab bhi teri khatir-e-nazuk pe bar hun patthar nahin ki main tere raste se hat gaya ya itna sakht-jaan ki talwar be-asar ya itna narm-dil ki rag-e-gul se kat gaya wo lamha-e-shuur jise jaan-kani kahen chehre se zindagi ki naqaben ulat gaya ab kaun jae ku-e-malamat se laut kar qadmon se aa ke apna hi saya lipat gaya aakhir 'shakeb' khu-e-sitam us ne chhod di zauq-e-safar ko dekh ke sahra simat gaya