beja nawazishat ka bar-e-garan nahin main khush hun is liye ki koi mehrban nahin aaghosh-e-hadsat mein pai hai parwarish jo barq phunk de wo mera aashiyan nahin kyun hans rahe hain rah ki dushwariyon pe log hun be-watan zarur magar be-nishan nahin ghabraiye na gardish-e-ayyam se hanuz tartib-e-fasl-e-gul hai ye daur-e-khizan nahin kuchh barq-soz tinke mujhe chahiyen 'shakeb' jhuk jaen gul ke bar se wo daliyan nahin