dahakte kuchh khayal hain ajib ajib se ki zehn mein sawal hain ajib ajib se tha aaftab subh kuchh to sham ko kuchh aur uruj aur zawal hain ajib ajib se har ek shahrah par dukanon mein saje tarah tarah ke mal hain ajib ajib se wo pas ho ke dur hai to dur ho ke pas firaq aur visal hain ajib ajib se nikalna in se bach ke sahal is qadar nahin qadam qadam pe jal hain ajib ajib se adab faqat adab hai? ya hai tarjuman-e-zist? mere yahi sawal hain adib adib se