hum ne jab chaha koi aag bujhane aae aae to log magar dil ko jalane aae kuchh asar hota nahin bazm-e-tarab ka dil par dard ka git koi aaj sunane aae ras jab aa na saka shahr-e-khirad ka mahaul wusat-e-dasht-o-bayaban mein diwane aae bhagi jati hai ye duniya nai raunaq ki taraf shahr hai ujda hua kaun basane aae aaj tak jin ko nahin rah-e-sadaqat ki khabar haqq-o-baatil ka wahi farq batane aae kyun kisi ghair pe ilzam main rakhta 'anjum' mere apne wo sabhi the jo rulane aae