muqaddar ne kahan koi naya paigham likkha hai azal hi se waraq par dil ke tera nam likkha hai qadam mein jaanib-e-manzil badhaun kya ki qismat ne jahan aaghaz likkha tha wahin anjam likha hai shikayat kya karun saqi se main us ke taghaful ki mere honton ke hisse hi mein khali jam likkha hai hamein hain muntakhab roz-e-azal se dard ki khatir hamare nama-e-qismat mein har ilzam likkha hai musalsal gham musalsal dard se tang aa ke ai 'sahil' hum aise ahl-e-furqat ne sahar ko sham likkha hai