gar eqtidar-e-sukun eqtidar-e-wahshat hai to phir dayar-e-mohabbat dayar-e-wahshat hai daraaz ho rahe imkan bhi ab ibaadat ke hisar-e-bandagi goya hisar-e-wahshat hai har ek shakhs hai taswir-e-kaamran khud mein ana ki aab-e-hawa mein khumar-e-wahshat hai dawam paega ek roz haq zamane mein ye intizar nahin intizar-e-wahshat hai gulon mein husn nahin aur chaman bhi aazurda mere qarib huwaida bahaar-e-wahshat hai abhi na puchhiye haal-e-gham-e-dil-e-'azhar' abhi nazar mein muqaddam ghubar-e-wahshat hai