bas ruh sach hai baqi kahani fareb hai jo kuchh bhi hai zamini zamani fareb hai rang apne apne waqt pe khulte hain aankh par awwal fareb hai koi sani fareb hai saudagaran-e-shoalagi-e-shar ke dosh par mushkiz-gan se jhankta pani fareb hai is ghumti zamin pe dobara milenge hum hijrat farar naql-e-makani fareb hai dariya ki asl tairti lashon se pochhiye thahraw ek chaal rawani fareb hai ab sham ho gai hai to suraj ko roiye hum ne kaha na tha ki jawani fareb hai bar-e-digar samay se kisi ka guzar nahin aaindagan ke haq mein nishani fareb hai ilm ek hijab aur hawas aaine ka zang nisyan haq hai yaad-dahani fareb hai tajsim kar ki khwab ki duniya hai jawedan taslim kar ki aalam-e-fani fareb hai 'shahid' darogh-goi-e-gulzar par na ja titli se puchh rang-fishani fareb hai