bayan-e-shauq bana harf-e-iztirab bana wo ek sawal ki jis ka na kuchh jawab bana main ek bab tha afsana-e-wafa ka magar tumhaari bazm se uttha to ek kitab bana mujhe safir bana apna ku-ba-ku ai ishq kise hawas hai ki duniya mein kaamyab bana main jis khayal ko apna junun samajhta tha wahi khayal zamane ka husn-e-khwab bana kabhi to wajh-e-karam ban gai hai khuddari kabhi niyaz-talab bais itab bana sara-e-dil mein jagah de to kat lun ek raat nahin ye shart ki mujh ko sharik-e-khwab bana jo ek dagh ki surat raha shab-e-ummid nujum-e-dil mein wahi dard aaftab bana mujhe na khak mein milne de ai gham-e-pinhan jo ban sakun to mujhe naqsh-e-la-jawab bana mizha se qatra khushi mein chhalak raha tha magar sukut-e-lab se tere mauj-e-iztirab bana bane hain khwab ke jhonke nasim-e-khuld-nashin suluk-e-dahr jahan aatish-e-azab bana bahut qarib se dekha to kho gae jalwe nazar hi parda bani husn hi hijab bana jo mere dasht-e-junun mein tha farq-e-ru-e-bahaar wahi khirad ke kharabe mein ek gulab bana amir-e-charkh ka ehsan nahin hai mujh pe 'naim' mujhe hai naz ki zarre se aaftab bana