be-zabanon ko bhi goyai sikhana chahiye kalima angusht-e-shahadat ko padhana chahiye khal rukhsar-e-munawwar ka dikhana chahiye chand mein ai mehr-wash dhabba lagana chahiye tel meri aankh ke til ka lagana chahiye gesuon mein panja-e-mizhgan ka shana chahiye bahr-e-zinat daman-e-shamshir mein o jang-ju meri gardan ka tujhe pattha lagana chahiye aaj-kal mahw-e-safa-e-ariz-e-dil-dar hun mere rahne ko ab aaine ka khana chahiye ghat par talwar ke nahlaiyo mayyat meri kushta-e-abru hun main kya ghusl-khana chahiye ai pari hai kis qadar adiyal mera shab-dez-e-fikr choti ke mazmun ka us ko taziyana chahiye tair-e-rang-e-hina ka murgh-e-jaan hota jalis ab nagine ke shajar par aashiyana chahiye khat mein likkhi hai haqiqat dasht-gardi ki agar nama-bar jangali kabutar ko banana chahiye josh-e-wahshat kah raha hai nikhat-e-gul ki tarah aaj to diwar-e-gulshan phand jaana chahiye wasf-e-dandan mein dur-e-mazmun ki hai hum ko talash bahr-e-fikrat mein dila ghota lagana chahiye chin-e-gesu se dikha do khal-e-ariz ki bahaar mere murgh-e-ruh ko ye dam dana chahiye is tamanna par hua hun khak main o jang-ju meri mitti ke tujhe meindhe ladana chahiye aariz-e-taban ke qul par bahr-e-daf-e-chashm-e-bad khal-e-rukhsar-e-pari ka kala dana chahiye panja-e-gulgun ke o gul hum hue hain andalib panj-shakhe par hamara aashiyana chahiye chal nahin sakta hamara tausan-e-umr-e-rawan badh ke dori ka qatil taziyana chahiye baad muddat zinat-e-pahlu hua hai wo pari aaj to ai dil tujhe baghlen bajaana chahiye hun main ai jarrah zakhmi tegh-e-naz-e-yar ka tanke bhi gardan ke dori se lagana chahiye atlas-e-gardun se atlas hai fuzun ai mah-ru kahkashan ka tere shimle mein batana chahiye nashsha hain ek bahr-e-khubi ke hamari qabr par chadar-e-ab-e-rawan ka shamiyana chahiye midhat-e-saqi-e-kausar tujh ko likhni hai 'qalaq' pahle aab-e-hauz-e-kausar se nahana chahiye