hae re pyari pyari aankh matwali rat-nari aankhen ghaarat-e-dil par tut padi hai shyam-nagar ki kumari aankhen us ghadi dekho in ka aalam nind se jab hon bhaari aankhen zahr kabhi hain aur kabhi amrit un ki bai bai aankhen jin ko jhapakna yaad nahin hai hairat ki hain wo mari aankhen takti hain ab tak rah kisi ki subh o sham shikari aankhen kaun 'asar' ki nazar mein samae dekhi hai us ne tumhaari aankhen