bashar ko chahiye himmat se kaam le ke chale rah-e-junun pe bagulon ka nam le ke chale ye kaisa tarz-e-wafa hai pahunch ke manzil par hum us ko bhul gae jis ka nam le ke chale koi hai dar-o-rasan par kisi ki kaj hai kulah har ek shakhs bas apna maqam le ke chale palak palak pe charaghan hai un ki yaadon ka nafas nafas kisi hamdam ka nam le ke chale na ab 'qatil' rahe hain na shaeri ki dhanak rah-e-sukhan mein koi kis ka nam le ke chale main haal tira-shabi ka sunaun kis ko 'kiran' charagh dhundne nikle the sham le ke chale