bikhre jab khwab to haalat ne rone na diya umr bhar ghairat-e-jazbaat ne rone na diya rah pur-khar thi phulon se rawish saj na saki phir bhi dushwari-e-haalat ne rone na diya go ki rukhsat hui sat-rang dhanak aap ke sath hijr ki raat mein barsat ne rone na diya the wo bebas sitam-e-dahr pe jo rote rahe dil tha pur-azm to sadmat ne rone na diya dil shikasta the magar hausla rakhte the 'kiran' ishq mein gham ki riwayat ne rone na diya