bhule se bhi lab par sukhan apna nahin aata han han mujhe duniya mein panapna nahin aata dil ko sar-e-ulfat bhi hai ruswai ka dar bhi us ko abhi is aanch mein tapna nahin aata ye ashk-e-musalsal hain mahaz ashk-e-musalsal han nam tumhaara mujhe japna nahin aata tum apne kaleje pe zara hath to rakkho kyun ab bhi kahoge ki tadapna nahin aata mai-khane mein kuchh pi chuke kuchh jam-ba-kaf hain saghar nahin aata hai to apna nahin aata zahid se khataon mein to niklunga na kuchh kam han mujh ko khataon pe panapna nahin aata bhule the unhin ke liye duniya ko kabhi hum ab yaad jinhen nam bhi apna nahin aata dukh jata hai jab dil to ubal padte hain aansu 'mulla' ko dikhane ka tadapna nahin aata