dukha hai dil tabhi to mujh pe chhai hai udasi bhi meri palkon pe aansu bhi labon par hai khamoshi bhi judai mein mere dil ki suno kya ho gai haalat mere dil mein hai wahshat bhi badi hai be-qarari bhi meri aankhon mein virani mere dil ko pareshani kuchh aisi chup hui hun main nahin hai khud-kalami bhi hamein to hijr mein hi katni hai zindagi ab to wo aa jae nahin ummid baqi ab zara si bhi agarche chot gahri hai 'dua' phir bhi nahin badli wahi hansne ki aadat bhi wahi hai khush-mizaji bhi