basti mein zindagi ke nishan tak nahin rahe aisi hawa chali ki makan tak nahin rahe sailab sath le gaya sahil ko is liye tinkon se mera rabt wahan tak nahin rahe suraj hansa to raat ke sae tamam-tar yun mit gae ki un ke nishan tak nahin rahe apna shuur-o-fikr hai apni udhed-bun hum log ab kisi pe garan tak nahin rahe ki jin ke izz-o-shan ki tarif umr bhar wo chahte hain meri zaban tak nahin rahe bachche bhi man ki baat se ab muttafiq nahin chulha jale to ghar mein dhuan tak nahin rahe us ne kalam aise hunar se kiya 'asar' lafzon ke tir sirf zaban tak nahin rahe