kisi ke haq mein kisi ke khilaf kah dunga main aaina hun jo dekhunga saf kah dunga mera zamir kahan zor-o-zar ki sunta hai mujhe to jis se hua ikhtilaf kah dunga har ek uzw-e-badan kah raha hai roz-e-jaza khuda se tera har ek inhiraf kah dunga utha ke sahn mein diwar ghar nahin banta dilon mein dal diya hai shigaf kah dunga qadam hun mujh ko utha soch kar ki hashr ke din kahan kahan ka kiya hai tawaf kah dunga udhar ho tum mere apne idhar taqaza-e-haq jo sach hai main to wahi saf saf kah dunga