hatheliyon mein chand ko nihaarne ki dhun mein hun zamin pe ek aasman utarne ki dhun mein hun suna hai koi bhi amal gaya kabhi na raegan main dushmanon ko dosti se marne ki dhun mein hun pada hua hun is liye main sahilon ki god mein lahar ke sath zindagi guzarne ki dhun mein hun mujhe muaf mat karo saza ka mustahiq hun main muqaddaron ko aap ke sanwarne ki dhun mein hun kai gharon ko jod kar banai thin jo bastiyan unhi gharon mein raushni utarne ki dhun mein hun kahan najat mil saki fareb ke hisar se main aaine mein aks ko utarne ki dhun mein hun zawal se nikal kar kamal ki taraf 'asar' dabi hui hayat ko ubhaarne ki dhun mein hun