bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat aise tufan bhi aae hain yahan raaton-raat ji mein aata hai ki tabir tujhi se puchhen ho gaya khwab tera jism-e-jawan raaton-raat sham hangama tha khushiyan thin hasin chehre the kho gai mahfil-e-ahbab kahan raaton-raat husn jalta raha shamon ki tapan khalwat mein ho gai mashal-e-mahtab dhuan raaton-raat ek jahangir khamoshi ki rajaz-khwani hai ho gaya kya ye mere ghar ka saman raaton-raat kaun in kaliyon ki qismat pe na roe 'khatir' jin ko kar deti hai taqdir jawan raaton-raat