phirta hun main ghati ghati sahra sahra tanha tanha baadal ka aawara tukda khoya khoya tanha tanha pachchhim des ke farzanon ne nisf jahan se shahr basae in mein pir buzurg arastu baitha rahta tanha tanha kitna bhid-bhadakka jag mein kitna shor-sharaba lekin basti basti kucha kucha chappa chappa tanha tanha sair karo baatin mein us ke kaisa kaisa kumbh laga hai tak raha hai dur ufuq ko jo bechaara tanha tanha sair tamasha rukne wale sayyaho ye bhi socha hai ghadiyan ghar ko dhaalne wala khud hai kitna tanha tanha koi na us ka mal kharide koi na us ki jaanib dekhe ab banjara ghum raha hai qarya qarya tanha tanha dhum machi hai chhut rahe hain shahr mein rangon ke fawware bich mein ek qasbaati ladka sahma sahma tanha tanha dharti aur ambar par donon kya ranai bant rahe the phul khila tha tanha tanha chand uga tha tanha tanha