dekha ata hua jo gulon ko ghubar mein masruf hain ghataen chaman ke nikhaar mein itne hain dagh aa nahin sakte shumar mein til bhar ki bhi jagah na dil-e-dagh-dar mein sau mein bhala hai ab na bhala hai hazar mein barakat hi ab rahi na kisi karobar mein panw ke aablon se mere aa ke puchhiye kya lazzat-o-maza hai nihan nok-e-khar mein jita hun un ki abru-e-khamdar dekh kar pinhan hai zindagi meri khanjar ki dhaar mein hoga wafa na wada-e-farda tamam umr rakkhenge hashr tak wo mujhe intizar mein is muddat-e-madid ki kuchh intiha bhi hai roz-e-azal se hashr ke hun intizar mein jaankandani se chhut ke aa kar pade the hum aate hi aan pahunche farishte mazar mein mujh sa milega chahne wala na aap ko das bis mein pachas mein sau mein hazar mein sayyaad tujh sa hoga na koi sitam-zarif bulbul ko qaid karta hai fasl-e-bahaar mein bigdi ka apni zikr karun un se kis ghadi rahte hain har ghadi wo banao-singhaar mein rakhte hain sath jeb mein kangha aur aaina rahte hain ab to mard bhi har-dam singhaar mein saudagari bhi sauda hai jab tajraba nahin de baithe sab dukan wo apni udhaar mein har-dam nigah dar pe meri hai lagi hui aankhen hain farsh-e-rah tere intizar mein ahl-e-sukhan ki zarra-nawazi hai ye 'ata' ahl-e-sukhan ke aa gae hum bhi shumar mein