bataen tum se kya hum aashiq-e-bimar kis ke hain hamare dida-e-tar talib-e-didar kis ke hain na kyun ham-shakl-e-bulbul madh mein naghma-sara hun main tumhin mujh ko bata do phul se rukhsar kis ke hain koi be-khud koi ba-khud hue teri mohabbat mein jo hain ghafil wo kis ke hain jo hain hoshyar kis ke hain utha kar hath mein tasbih mujh se dil ye kahta hai barahman kis ke hain hum sahib-e-zunnar kis ke hain na kyun bahr-e-shahadat sar jhukaen shauq se aashiq basan-e-tegh kahiye abru-e-khamdar kis ke hain kaha ye tair-e-dil ne ulajh kar zulf-e-pur-kham mein phansaya kis ne mujh ko aur ye kirdar kis ke hain nahin malum zakhmi ho gaya hai kaun shaidai gul-e-taza 'jamila' zakhm-e-daman-dar kis ke hain