tu kare jo faisla aaj kar meri baat sun tu abhi na ja mere dard-e-dil ka ilaj kar meri baat sun tu abhi na ja abhi jaane jaane ki zid na kar yahan rutha rutha hai sara ghar kabhi khush to mera mizaj kar meri baat sun tu abhi na ja main mariz hun tere hijr ka zara hath mein mera hath le tu ghamon ka mere ilaj kar meri baat sun tu abhi na ja basi rang-o-nur mein zindagi hai jawan shab to faza hasin mere jaan-o-dil pe tu raj kar meri baat sun tu abhi na ja tu chhalakte ashkon ko dekh le zara sun le ye mera haal-e-dil yun na sakht apna mizaj kar meri baat sun tu abhi na ja kya hasin rahguzar hai ye badi lazzaton ka safar hai ye na khayal-e-takhta-o-taj kar meri baat sun tu abhi na ja ye dua hai 'arpit'-e-khas ki zara dekh le zara soch le tu zara zamane ki laj kar meri baat sun tu abhi na ja