khush-nawai tere nairang se dar lagta hai marhaba suniye to aahang se dar lagta hai ho khara bant to tulne se nahin koi gurez han magar jumbish-e-pasang se dar lagta hai maslahat ka ye kafan rakhta hai be-dagh hamein ahl-e-iman hain ham-rang se dar lagta hai hum jo talwar utha len to qayamat aa jae han magar ye ki hamein jang se dar lagta hai fasla dil ka hai duniya se mahz ek farsang aur hamein bas usi farsang se dar lagta hai dar nahin lagta kisi khwab se hum ko lekin us ki tabir ki farhang se dar lagta hai aahani azm hon par aankh bhi nam hai meri bhige mausam mein mujhe zang se dar lagta hai sar ko diwar se mahfuz rakha hai pa 'nasim' apni mutthi mein chhupe sang se dar lagta hai