jo likhna chaha na likh paya main khuda afsos so rah gaya meri tahrir mein khala afsos har ek khwab ko ashkon se dhaar kar main ne jo dekha dil to dikha ja-ba-ja pada afsos bisat-e-jaan mein raha raqs khwahishon ka magar chhalak ke aankhon se ashkon ne kah diya afsos ajab nahin hai tu kya hai koi batae mujhe yahan pe jo bhi mila mil ke ye kaha afsos main apne hathon se ban ban ke ret jab nikla to mera saya bhi kahte hue chala afsos utha ke lai jo taqdir aaine ke huzur to darj chehre pe aur aaine mein tha afsos jo aks main ne ubhaara tha dil ke kaghaz par qadam qadam pe nadamat wahi bana afsos main khwahishon ke janaze ko padh ke ghar aaya kisi ke chehre pe khushiyan kisi ke tha afsos wo ek mauj-e-'nasimi' thi wahshat-e-dil ki kisi ke hijr mein jis ko baha diya afsos likha hua tha muqaddar mein pi gaya khul kar to kaise kah dun ke pi kar mujhe hua afsos