bataun kya shab-e-furqat meri kaise sanwarti hai

bataun kya shab-e-furqat meri kaise sanwarti hai
kabhi to huk uthti hai kabhi ro ro guzarti hai

udhar to tis uthti hai idhar aansu ubalte hain
usi dam kahkashan taron se apni mang bharti hai

junun-e-jazba-e-ulfat ki betabi maaz-allah
jo kam hota hai dard-e-dil to phir wahshat ubharti hai

meri waraftagi is jazba-e-dil ki qasam kha kar
mohabbat nam le kar bhi mohabbat hi se darti hai

tera ye jazba-e-ulfat salamat hi rahe har dam
mohabbat jab kabhi had se guzarti hai akharti hai

are 'gham' laghzish-e-soz-e-jigar ka kaif kya kahiye
zaban majbur ho jati hai jab dil mein utarti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close