mera ye jazba-e-dil kam nahin hai

mera ye jazba-e-dil kam nahin hai
meri hasrat mein ab tak kham nahin hai

bala se husn mane ye na mane
udan ab ishq ki bhi kam nahin hai

hamare dil mein ab tak hai tasalli
ki wo apna hai aur barham nahin hai

mujhe aksar wo kah dete hain pagal
ye mere hosh ka aalam nahin hai

shab-e-gham raat bhar roya to bole
abhi to aankh bhi pur-nam nahin hai

main manzil ki taraf badhta rahunga
mujhe nakaamiyon ka gham nahin hai

charagh-e-hasti-e-gham jal raha hai
abhi tak raushni maddham nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close