bataun main taDapne ka maza kya

bataun main tadapne ka maza kya
nahin dekha hai tum ne aaina kya

zamin tanbe ki hoti ja rahi hai
sawa neze pe suraj aa gaya kya

hamare khun ki lali kya bataun
muqabil is ke ho rang-e-hina kya

badhi kyon aag is tezi se ghar mein
diya ham-saya ne is ko hawa kya

juda har shakhs ka rasta hua jab
to kahne sunne ka kuchh faeda kya

isi se aabru-e-zindagi hai
gai izzat to baqi hi raha kya

bhare hain kan dushman ne tumhaare
kaha kya us ne aur tum ne suna kya

ghazal sun lo zaban 'mahir' ki dekho
samajhne se hi pahle marhaba kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close