bataur-e-yaadgar-e-zohd mai-khane mein rakh dena meri tuti hui tauba ko paimane mein rakh dena kaha tha ai dil-e-na-faham-o-nadan tujh se ye kis ne khuda-khane ki hurmat ko sanam-khane mein rakh dena pasand aae na aae munhasir hai ye tabiat par kisi ke samne dil hum ko nazrane mein rakh dena dobara phir kisi din mere kaam aaegi ai saqi jo mai pine se bach jae wo paimane mein rakh dena kahin aaen kahin jaen kahin utthen kahin baithen qadam hir-phir kar apna hum ko but-khane mein rakh dena charagh-e-anjuman apni ziya phailane wala hai utha kar shoala-e-ulfat ko parwane mein rakh dena kahan hum dhundte tujh ko phirenge us ghadi saqi subuhi ke liye thodi si paimane mein rakh dena nazar aate hain kuchh angur mujh ko ai mere saqi lahu tauba ka un ke ek ek dane mein rakh dena khata-e-ishq par kyun 'nuh' apni jaan kho baithe raqam itni badi aur is ko jurmane mein rakh dena