hum se bhaga na karo dur ghazalon ki tarah hum ne chaha hai tumhein chahne walon ki tarah khud-ba-khud nind si aankhon mein ghuli jati hai mahki mahki hai shab-e-gham tere baalon ki tarah tere bin raat ke hathon pe ye taron ke ayagh khub-surat hain magar zahr ke pyalon ki tarah aur kya is se ziyaada koi narmi bartun dil ke zakhmon ko chhua hai tere galon ki tarah gungunate hue aur aa kabhi un sinon mein teri khatir jo mahakte hain shiwalon ki tarah teri zulfen teri aankhen tere abru tere lab ab bhi mashhur hain duniya mein misalon ki tarah hum se mayus na ho ai shab-e-dauran ki abhi dil mein kuchh dard chamakte hain ujalon ki tarah mujh se nazren to milao ki hazaron chehre meri aankhon mein sulagte hain sawalon ki tarah aur to mujh ko mila kya meri mehnat ka sila chand sikke hain mere hath mein chhaalon ki tarah justuju ne kisi manzil pe thaharne na diya hum bhatakte rahe aawara khayalon ki tarah zindagi jis ko tera pyar mila wo jaane hum to nakaam rahe chahne walon ki tarah