bayaban dur tak main ne sajaya tha magar wo shahr ke raste se aaya tha diye ki aarzu ko jab bujhaya tha phir us ke baad aahat thi na saya tha use jab dekhne ke baad dekha to wo khud bhi dil hi dil mein muskuraya tha dil-o-diwar the ek nam ki zad par kahin likhkha kahin main ne mitaya tha hazaron is mein rahne ke liye aae makan main ne tasawwur mein banaya tha jahan ne mujh ko pahle hi khabar kar di kabutar der se paigham laya tha chale mallah kashti git ummiden ki jaise sab ko sahil ne bulaya tha