khata gaya jo nishana kaman badalta hai nahin tamiz-e-rihaish makan badalta hai kahani ye thi ki sab sath mil ke rahte hain phir is ke baad achanak saman badalta hai hum us ki rah mein aankhen bichha ke dekh chuke magar wo jaan ka dushman kahan badalta hai amir-e-shahr tanawwo-pasand hai 'khalid' libas-e-nau ke mutabiq zaban badalta hai