ye haqiqat hai wo kamzor hua karti hain apni taqdir ka qaumen jo gila karti hain ret par jab bhi banata hai gharaunda koi sar-phiri maujen use dekh liya karti hain main gulistan ki hifazat ki dua karta hun bijliyan mere nasheman pe gira karti hain jaane kya wasf nazar aata hai mujh mein un ko titliyan mere taaqub mein raha karti hain teri dahliz se nisbat jise ho jati hai azmaten us ke muqaddar mein hua karti hain kyun na gul-buton ke chehron pe nikhaar aa jae ye hawaen jo tera zikr kiya karti hain apni nazron mein jo rakhta hai tere naqsh-e-qadam manzilen us ke taaqub mein raha karti hain chain ki nind mujhe aae to kaise aae meri aankhen jo tera khwab buna karti hain us ki rahmat ke diye jo bhi hain raushan 'afzal' aandhiyan un ki hifazat mein raha karti hain