bayan apni safai kar raha hai wo lafzon se ladai kar raha hai karodon but agar hain bhi to but hain khuda tanha khudai kar raha hai bujhegi apne ghar ki aag kaise dhuan parda-kushai kar raha hai khabar man-bap ki pardes mein kya magar beta kamai kar raha hai wo jis ko hum nibhae ja rahe hain musalsal bewafai kar raha hai hasad mujh ko nahin to kis ko hoga taraqqi mera bhai kar raha hai yahi 'masud' hai kya shair-e-gham ye jo naghma-sarai kar raha hai