bik raha hun sar-e-bazar zara dekho to hai koi mera kharidar zara dekho to ghat gaya ilm ka mear zara dekho to kuchh nahin qimat-e-fankar zara dekho to mere purkhon ne jo mehnat se uthai thi kabhi gir gai ghar ki wo diwar zara dekho to dekhte rah gae sab log shikayat hai yahi lut gae hum sar-e-bazar zara dekho to kaun ye tum se kahe meri taraf ek nazar mere hamdam mere gham-khwar zara dekho to kis ka ghar lut gaya sailab-e-hawadis mein yahan dosto aaj ka akhbar zara dekho to qafile walon se 'masud' chalo badh ke kaho zist ki rah hai dushwar zara dekho to