uktaya hun is muft ke saman-e-safar se ye bojh hi aisa hai utarta nahin sar se ek umr guzari hai tere shahr mein lekin aankhen nahin kholin kabhi zulmat ke dar se is bar bichhad jaana hai jaise kabhi patte gir jaen to milte nahin dobara shajar se thak-haar ke ruk jaegi ye waqt ki gardish jis roz zamin niklegi suraj ke asar se sikke jo nikale mere kashkol se us ne aankhen bhi nikali hain mere kasa-e-sar se wo chand bhi is chand ki taqlid mein aksar kuchh dur thahar jata hai aa kar mere ghar se 'masud' meri zat ko mahfuz kiya hai is shor-sharabe ne kisi khwab ke dar se