ghairon ke sath gate jate ho chutkiyon mein hamein udate ho kaun ustad mil gaya kaamil kis se zarben ye sikh aate ho naqsh kis ka upar utha munh par ab to naqsha naya bithate ho kabhu so rahte ho dupatta tan kabhi ek tan mar jate ho kabhu karte ho jhanjh aa hum se kabhi jhanjh aur daf bajate ho kabhu ladne ka tar hai aur gah tar tambur par chadhate ho tali dai thapdi mar aur lad-bhid thap murdang par lagate ho hoti hai jab kahen se dut-dapak kyun hamein aa ke khadkhadate ho wada talta hai jab tu rah mein dekh butti de mujh ko gidgidate ho 'azfari' dost ko rula piyare dushmanon ke tain hansate ho