bayan-e-dard jab karta hun main ula-o-sani mein bahut milti mohabbat hai mujhe phir sher-khwani mein sabhi hain puchhte ke ishq karke kya mila aakhir batata hun sukun milta mujhe is raegani mein jahan bhar mein jise main dhundhta phirta raha aksar mila ban bewafa kirdar wo meri kahani mein sabhi apnon se yan mujh ko chhupana ashk padta hai hui barsat aisi mil gae sab ashk pani mein bahut hi muskuraata tha kabhi mahfil mein yaron ki nazar kis ki lagi hai aaj us ki shadmani mein sukhnawar jab sunate hain mohabbat hir ranjha ki tasawwur mein tera karta hun un ki har bayani mein khafa sahab hun tum se main bas is ek baat ko le kar khudi ko bech aae tum na jaane kis gumani mein