khushbu se teri hath milane ka shauq hai phir us ko do-jahan se chhupane ka shauq hai aankhen hon khwab hon ki shikasta imaraten har ek khandar mein dip jalane ka shauq hai kuchh der apne sath bhi rahne do ab hamein is raushni ko aaina-khane ka shauq hai izhaar-e-as shauq-e-tamasha fasurdagi kyon dil ko itna bar uthane ka shauq hai hijrat azal se hai mere ajdad ka shiar mujh ko bhi ek naw banane ka shauq hai kyon hum ye baat baat pe dene lage jawab in ko to khair baat badhane ka shauq hai ek nur hi to sare takhayyul ki jaan hai aur is pe hum ko rang jamane ka shauq hai har ek ko sanam ho khuda ho ki aadmi mathe pe mere dagh lagane ka shauq hai barbaad hote jaenge jitna karoge tum hum ko tumhaara hath banane ka shauq hai 'naina' unhi ki samt safar kar rahi hun main raste mein jin ko dhup bichhane ka shauq hai