ye dagh-e-hijr nahin mit saka jabin ka laga zamin kahin ki hai paiwand hai kahin ka laga mila hai dasht hamein justuju mein manzil ki guman tha panw mein aur aabla yaqin ka laga hamara nam-o-nasab hum se puchhne wale lahu na is tarah daman pe aastin ka laga utha ke dosh pe kheme nikal pade hum log zara na khauf hamein ajnabi zamin ka laga