gar ek shab bhi wasl ki lazzat na pae dil phir kis umid par koi tum se lagae dil ek dil tujhe mudam satane ko chahiye tere liye kahan se koi roz lae dil utra na aa ke yan koi juz karwan-e-gham mehman-sara se kam nahin yaro sara-e-dil kuche se apne hum ko uthata hai kis liye baithen hain hum jahan se apna uthae dil kahte hain dardmand 'taraqqi' ka haal dekh ya rab kabhi kisi pe kisi ka na aae dil