bayan jab 'kalim' apni haalat kare hai ghazal kya padhe hai qayamat kare hai bhala aadmi tha pa nadan nikla suna hai kisi se mohabbat kare hai kabhi shairi is ko karni na aati usi bewafa ki badaulat kare hai chhuri par chhuri khae jae hai kab se aur ab tak jiye hai karamat kare hai kare hai adawat bhi wo is ada se lage hai ki jaise mohabbat kare hai ye fitne jo har ek taraf uth rahe hain wahi baitha baitha shararat kare hai qaba ek din chaak us ki bhi hogi junun kab kisi ki riayat kare hai