dil laraz raha hai kyun is ke khat ko pa kar bhi harf hans hai hain kyun rang rukh uda kar bhi tujh se dur rah kar bhi dil girafta rahte the ek ajib uljhan hai tere pas aa kar bhi chehre hain kahte hain aaine pasheman hain hai ajib hairani bazm-e-dil saja kar bhi lafz lafz phaila tha nuqta nuqta simta hun kis qadar pasheman hun dastan suna kar bhi ai 'shamim' behtar hai dur hi raho sab se sang-e-mil ki surat fasle mita kar bhi