bazm-e-alam mein bahut se hum ne mare hath-paon teri surat ke na dekhe pyare pyare hath-paon bahr-e-ulfat mein bahut se hum ne mare hath-paon lag rahe manind-e-khas aakhir kinare hath-paon aashiq mu-e-kamar ki le khabar o be-khabar sukh kar tinka hue hain us ke sare hath-paon meri khidmat se nihayat khush hua wo bad-mizaj wasl ki shab kaam aae apne bare hath-paon bahr-e-hasti mein mila hum ko dur-e-maqsad na haif mauj ke manind kya kya hum ne mare hath-paon waqt-e-zabh bola ye qatil aashiq-e-nad-shad se tukde kar dala kabhi tu ne jo mare hath-paon khel rahta hai tawakkul par meri auqat ka chalte-phirte hain hamare be-sahaare hath-paon tikhi tikhi un ki chitwan banki banki un ki chaal bholi bholi un ki surat pyare pyare hath-paon